Monday, January 7, 2013

ON THE DAY OF SHAHADAT-E-BIBI ZAINAB (S.A)

Imam Zamana(ajfs) ki khidmat mein aur aap sabko shahadat-e-Zainab(s.a) ki Th'aziyat paysh karthey huwey, chand ash'aar Bibi Zainab (s.a) ki Kidmat mein;





Hum shabihey Bathool(s.a) hai Zainab(s.a),
Zindagi ka usool hai Zainab(s.a),
Baaghey ismath ka phool hai Zainab(s.a),
Paasbaney Rasool hai Zainab(s.a).

Qafila saazey zindagi Zainab(s.a),
Kaaba-e-haq ki roshni Zainab(s.a),
Aye alamdar-e-thishnagi Zainab(s.a).

Kulley Imaa'n ka aaina Zainab(s.a),
Ek masoom silsila Zainab(s.a),
Sabr-o-himmat ka qafila Zainab(s.a),
Nao Imaamo'n ki Fathima(sa) Zainab(s.a).

**************************

Tera aansu chiraag-e-wehdath hai,
Tera lehja Ali(a.s) ki zarbath hai,
Tera purda haya ki jannat hai,
Tera har saans ek aayat hai,
Kalma-e-La Ilaha Illallah,
Taaziyanoo'n pe khoon se likha. 

No comments:

Post a Comment